Saturday, December 03, 2005

Atal Ji

  jo kal tthe, wae aaj nahin hain
jo aaj haiN, kal nahiN honge
hone na hone ka kRam isi tarah chalta rahega
hum hain, hum rahenge, ye bhRam bhi sada palta rahega

satya kya hai?
hona ya na hona.
ya dono hi satya hai.
jo hai uska hona satya hai.
jo nahin hai, uska na hona satya hai.

mujhe lagta hai ke, hona na hona,
dono ek hi satya ke do ayaam hain
shesh sab samjah ka bhed, buddhi ke wyayaam hain

--Atal Behari Vajpayee

0 Comments:

Post a Comment

<< Home